hai KHwahish meri ye pukaro kabhi tum
hai ḳhvāhish mirī ye pukāro kabhī tum
suno to kaho bhī are tum ajī tum
bhaTaktā rahā maiñ yahāñ vaañ hamesha
mirā dil gayā vaañ jahāñ bhī ga.ī tum
jahāñ bhī maiñ jā.ūñ tirā saath chāhūñ
mujhe ho ga.ī har jagah lāzmī tum
mayassar nahīñ ik khaḌī chain mujh ko
mujhe yaad aatī rahī har khaḌī tum
kirāya to do kuchh mohabbat kā mujh ko
jo muddat se mere hī dil meñ rahī tum
huā kyā hai tum ko mujhe tum kaho to
zarā der pahle thī achchhī-bhalī tum
hai KHwahish meri ye pukaro kabhi tum
suno to kaho bhi are tum aji tum
bhaTakta raha main yahan wan hamesha
mera dil gaya wan jahan bhi gai tum
jahan bhi main jaun tera sath chahun
mujhe ho gai har jagah lazmi tum
mayassar nahin ek khaDi chain mujh ko
mujhe yaad aati rahi har khaDi tum
kiraya to do kuchh mohabbat ka mujh ko
jo muddat se mere hi dil mein rahi tum
hua kya hai tum ko mujhe tum kaho to
zara der pahle thi achchhi-bhali tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.