hai kisi ke lab-e-rangin se gul-afshan hona
hai kisi ke lab-e-rangin se gul-afshan hona
Saeedul Haq Saeed Itawi
MORE BYSaeedul Haq Saeed Itawi
hai kisī ke lab-e-rangīñ se gul-afshāñ honā
log kahte haiñ jise fasl-e-bahārāñ honā
hazrat-e-shaiḳh ḳhatā se na gurezāñ honā
is ḳhatā hī se mayassar huā insāñ honā
kitne gustāḳh haiñ ye bād-e-sabā ke jhoñke
chāhte haiñ tirī zulfoñ kā pareshāñ honā
rind-e-gumrāh ko pahle ye batā de vaa.iz
kyā tire dil se bhī sābit hai musalmāñ honā
us ko ārām zamāne meñ milegā kaise
jis kī taqdīr meñ likkhā hai pareshāñ honā
hai kisi ke lab-e-rangin se gul-afshan hona
log kahte hain jise fasl-e-bahaaran hona
hazrat-e-shaiKH KHata se na gurezan hona
is KHata hi se mayassar hua insan hona
kitne gustaKH hain ye baad-e-saba ke jhonke
chahte hain teri zulfon ka pareshan hona
rind-e-gumrah ko pahle ye bata de waiz
kya tere dil se bhi sabit hai musalman hona
us ko aaram zamane mein milega kaise
jis ki taqdir mein likkha hai pareshan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.