hai kitna saliqa teri guftar ke andar
hai kitnā salīqa tirī guftār ke andar
inkār bhī poshīda hai iqrār ke andar
sachchā.ī bhī kahne ke tarīqe haiñ bahut se
par ḳhāna-ḳharābī mire iz.hār ke andar
us tarah se mastūr mohabbat mire dil meñ
jaise ho koī dā.era parkār ke andar
yaaro mujhe izzat mire allāh ne dī hai
tum ḳhāmiyāñ DhūñDo mire kirdār ke andar
ye tamkanat-o-mansab-o-pindār-o-ra.ūnat
sab chhoḌ diyā kūcha-e-dildār ke andar
ab apne masīhā ko vo kis tarah batā.e
jo dard chhupā hai kisī bīmār ke andar
hai kitna saliqa teri guftar ke andar
inkar bhi poshida hai iqrar ke andar
sachchai bhi kahne ke tariqe hain bahut se
par KHana-KHarabi mere izhaar ke andar
us tarah se mastur mohabbat mere dil mein
jaise ho koi daera parkar ke andar
yaro mujhe izzat mere allah ne di hai
tum KHamiyan DhunDo mere kirdar ke andar
ye tamkanat-o-mansab-o-pindar-o-raunat
sab chhoD diya kucha-e-dildar ke andar
ab apne masiha ko wo kis tarah batae
jo dard chhupa hai kisi bimar ke andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.