hai kitni KHud-gharaz makkar duniya humne dekha hai
hai kitni KHud-gharaz makkar duniya humne dekha hai
Meem Sheen Najmi
MORE BYMeem Sheen Najmi
hai kitnī ḳhud-ġharaz makkār duniyā ham ne dekhā hai
ḳhud apnī hī tabāhī kā tamāsha ham ne dekhā hai
hamāre ghar jale haiñ ḳhud hamāre hī charāġhoñ se
khulī āñkhoñ se apnoñ kā irāda ham ne dekhā hai
ye sajda-rez tak hotī hai duniyā jabr ke aage
kahīñ Dar se bajā laatī hai mujrā ham ne dekhā hai
qayāmat-ḳhez tūfānoñ meñ barsātī havāoñ meñ
ubharte Dūbte dil kā jazīra ham ne dekhā hai
tasallī dene vaale ḳhud maza lete haiñ hañs hañs kar
pas-e-ehsān-o-hamdardī dikhāvā ham ne dekhā hai
saf-e-mātam kī tayyārī kahīñ shahnā.iyāñ sargarm
dikhātī hai ye duniyā rang kyā kyā ham ne dekhā hai
huā kyā is se hāsil mai-kade vaalo batā denā
jo girne aur sambhalne kā tamāshā ham ne dekhā hai
ḳhulūs-e-dil se saarī sarhadeñ mil jaatī haiñ 'najmī'
jahāñ milte haiñ sab raste vo rasta ham ne dekhā hai
hai kitni KHud-gharaz makkar duniya hum ne dekha hai
KHud apni hi tabahi ka tamasha hum ne dekha hai
hamare ghar jale hain KHud hamare hi charaghon se
khuli aankhon se apnon ka irada hum ne dekha hai
ye sajda-rez tak hoti hai duniya jabr ke aage
kahin Dar se baja lati hai mujra hum ne dekha hai
qayamat-KHez tufanon mein barsati hawaon mein
ubharte Dubte dil ka jazira hum ne dekha hai
tasalli dene wale KHud maza lete hain hans hans kar
pas-e-ehsan-o-hamdardi dikhawa hum ne dekha hai
saf-e-matam ki tayyari kahin shahnaiyan sargarm
dikhati hai ye duniya rang kya kya hum ne dekha hai
hua kya is se hasil mai-kade walo bata dena
jo girne aur sambhalne ka tamasha hum ne dekha hai
KHulus-e-dil se sari sarhaden mil jati hain 'najmi'
jahan milte hain sab raste wo rasta hum ne dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.