hai koi aur bhi jahan mein kya
hai koī aur bhī jahān meñ kyā
maiñ nahīñ huuñ tire gumān meñ kyā
tū ne fitrāk saath to rakhā
tiir bhī hai tirī kamān meñ kyā
ek saayā thā dil meñ vo bhī bujhā
rah gayā hai ab is makān meñ kyā
zer-e-sāya hai aur sabhī duniyā
ham nahīñ haiñ tirī amaan meñ kyā
koī bhī tujh se baat kartā nahīñ
zahr sā hai tirī zabān meñ kyā
hai koi aur bhi jahan mein kya
main nahin hun tere guman mein kya
tu ne fitrak sath to rakha
tir bhi hai teri kaman mein kya
ek saya tha dil mein wo bhi bujha
rah gaya hai ab is makan mein kya
zer-e-saya hai aur sabhi duniya
hum nahin hain teri aman mein kya
koi bhi tujh se baat karta nahin
zahr sa hai teri zaban mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.