hai koi baat yaqinan nisab ke pichhe
hai koī baat yaqīnan nisāb ke pīchhe
savāl tan ke khaḌā hai javāb ke pīchhe
ye aur baat ki gulshan ko naaz hai is par
magar haiñ saikḌoñ kāñTe gulāb ke pīchhe
maiñ us ke sāmne rusvā kabhī nahīñ hotā
chhupā huā huuñ junūñ kī kitāb ke pīchhe
bujhegī pyaas na hargiz qarīb jā kar bhī
magar vo bhaag rahā hai sarāb ke pīchhe
kahāñ hai niiñd ke sahrā meñ chhoḌne vaalā
bhaTak na jā.ūñ kahīñ maiñ bhī ḳhvāb ke pīchhe
'alīm' jalva nigāhoñ meñ kis tarah aatā
chhupā thā husn kisī kā hijāb ke pīchhe
hai koi baat yaqinan nisab ke pichhe
sawal tan ke khaDa hai jawab ke pichhe
ye aur baat ki gulshan ko naz hai is par
magar hain saikDon kanTe gulab ke pichhe
main us ke samne ruswa kabhi nahin hota
chhupa hua hun junun ki kitab ke pichhe
bujhegi pyas na hargiz qarib ja kar bhi
magar wo bhag raha hai sarab ke pichhe
kahan hai nind ke sahra mein chhoDne wala
bhaTak na jaun kahin main bhi KHwab ke pichhe
'alim' jalwa nigahon mein kis tarah aata
chhupa tha husn kisi ka hijab ke pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.