hai koi bair sa usko meri tadbir ke sath
hai koī bair sā us ko mirī tadbīr ke saath
ab kahāñ tak koī jhagḌā kare taqdīr ke saath
mire hone meñ na hone kā thā sāmāñ maujūd
TūTnā merā likhā thā mirī ta.amīr ke saath
chhoḌ jaate haiñ haqīqat ke jahāñ meñ hameñ phir
ḳhvāb aate hī kahāñ hameñ kabhī ta.abīr ke saath
aadmī hī ke banā.e hue zindāñ haiñ ye sab
koī paidā nahīñ hotā kisī zanjīr ke saath
jānte sab haiñ ki do gaz hī zamīñ apnī hai
kaun ḳhush rahtā hai lekin kisī jāgīr ke saath
saath 'ġhālib' ke ga.ī fikr kī gahrā.ī bhī
aur lahja bhī gayā 'mīr-taqī-mīr' ke saath
hai koi bair sa us ko meri tadbir ke sath
ab kahan tak koi jhagDa kare taqdir ke sath
mere hone mein na hone ka tha saman maujud
TuTna mera likha tha meri tamir ke sath
chhoD jate hain haqiqat ke jahan mein hamein phir
KHwab aate hi kahan hamein kabhi tabir ke sath
aadmi hi ke banae hue zindan hain ye sab
koi paida nahin hota kisi zanjir ke sath
jaante sab hain ki do gaz hi zamin apni hai
kaun KHush rahta hai lekin kisi jagir ke sath
sath 'ghaalib' ke gai fikr ki gahrai bhi
aur lahja bhi gaya 'mir-taqi-mir' ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.