hai kuchh agar salīqa hai kuchh agar qarīnā
marne kī tarah marnā jiine kī tarah jiinā
kartā huuñ paar dariyā tūfān kī madad se
merī nigāh meñ hai har mauj ik safīnā
is meñ bhī raushnī hai us meñ bhī raushnī thī
merā bhī hai vo siina muusā kā thā jo siina
jis samt sar jhukā.ūñ gulshan 'araq 'araq ho
mahke mirī jabīñ se har phuul kā pasīnā
parhez kis liye phir jab raa.e hai ye sab kī
jaa.ez hai ai 'munavvar' tum ko sharāb piinā
hai kuchh agar saliqa hai kuchh agar qarina
marne ki tarah marna jine ki tarah jina
karta hun par dariya tufan ki madad se
meri nigah mein hai har mauj ek safina
is mein bhi raushni hai us mein bhi raushni thi
mera bhi hai wo sina musa ka tha jo sina
jis samt sar jhukaun gulshan 'araq 'araq ho
mahke meri jabin se har phul ka pasina
parhez kis liye phir jab rae hai ye sab ki
jaez hai ai 'munawwar' tum ko sharab pina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.