hai kufr ki aaghosh mein iman hamara
hai kufr kī āġhosh meñ īmān hamārā
duniyā ne bahut kar diyā nuqsān hamārā
kis tarah sulajh pā.egā bohrān hamārā
kul tiis sipāroñ kā hai qur.ān hamārā
sayyād unheñ qaid ke ādāb sikhā de
bāzār na ho jaa.e ye zindān hamārā
'ġhālib' kī huī jis se bahut der laḌā.ī
yaañ dost huā hai vahī rizvān hamārā
kyā farq paḌegā jo nikal aayā bhī logo
duniyā se pare koī nigahbān hamārā
sharh na sahī dil kī tilāvat hī kare koī
juzdān meñ taḌpe hai ye qur.ān hamārā
hai kufr ki aaghosh mein iman hamara
duniya ne bahut kar diya nuqsan hamara
kis tarah sulajh paega bohran hamara
kul tis siparon ka hai quran hamara
sayyaad unhen qaid ke aadab sikha de
bazar na ho jae ye zindan hamara
'ghaalib' ki hui jis se bahut der laDai
yan dost hua hai wahi rizwan hamara
kya farq paDega jo nikal aaya bhi logo
duniya se pare koi nigahban hamara
sharh na sahi dil ki tilawat hi kare koi
juzdan mein taDpe hai ye quran hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.