hai kushada zamin nikal jaen
hai kushāda zamīñ nikal jaa.eñ
ḳhud ko DhūñDeñ kahīñ nikal jaa.eñ
yā to siine se dil nikal jaa.e
yā to dil se hasīñ nikal jaa.eñ
ik guzārish hai mehrbānoñ se
chhoḌ deñ āstīñ nikal jaa.eñ
haañ divānoñ ke āstāne se
sab zahīn-o-fatīñ nikal jaa.eñ
yā to dil dho ke aa.eñ kā’be meñ
yā to sab zā.erīñ nikal jaa.eñ
ham mirī jaan aap ke dil se
itnā āsāñ nahīñ nikal jaa.eñ
būḌhe vālid se naujavāñ beTā
kah rahā thā kahīñ nikal jaa.eñ
terī āñkhoñ ke 'faiz' motī haiñ
ham ki aañsū nahīñ nikal jaa.eñ
hai kushada zamin nikal jaen
KHud ko DhunDen kahin nikal jaen
ya to sine se dil nikal jae
ya to dil se hasin nikal jaen
ek guzarish hai mehrbanon se
chhoD den aastin nikal jaen
han diwanon ke aastane se
sab zahin-o-fatin nikal jaen
ya to dil dho ke aaen ka’be mein
ya to sab zaerin nikal jaen
hum meri jaan aap ke dil se
itna aasan nahin nikal jaen
buDhe walid se naujawan beTa
kah raha tha kahin nikal jaen
teri aankhon ke 'faiz' moti hain
hum ki aansu nahin nikal jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.