hai kya sang-e-dar-e-jaanan usi ka dil samajhta hai
hai kya sang-e-dar-e-jaanan usi ka dil samajhta hai
Hanif Danish Indori
MORE BYHanif Danish Indori
hai kyā sang-e-dar-e-jānāñ usī kā dil samajhtā hai
jo dīvāna tirī chaukhaT ko mustaqbil samajhtā hai
taqāze par muravvat ke zarā sar kyā jhukāyā thā
usī din se mirā dushman mujhe buzdil samajhtā hai
ye saḌkoñ par jo dīvāna divāna-vār phirtā hai
koī pāgal samajhtā hai koī kāmil samajhtā hai
ḳhushī chipkā ke hoñToñ par nayā chehra banātā huuñ
maiñ kaise aatā jaatā huuñ sar-e-mahfil samajhtā hai
sar-e-maqtal ye kaTne ko jhukegī to anā ke saath
mirī gardan kī ḳhūbī ko mirā qātil samajhtā hai
saḳhāvat to mashiyyat pe hī mabnī hai saḳhī kī par
ġham-e-inkār kyā hai ye dil-e-sā.il samajhtā hai
yahāñ insāf honā ġhair-mumkin hai miyāñ 'dānish'
ye munsif haq-bayānī ko zarā mushkil samajhtā hai
hai kya sang-e-dar-e-jaanan usi ka dil samajhta hai
jo diwana teri chaukhaT ko mustaqbil samajhta hai
taqaze par murawwat ke zara sar kya jhukaya tha
usi din se mera dushman mujhe buzdil samajhta hai
ye saDkon par jo diwana diwana-war phirta hai
koi pagal samajhta hai koi kaamil samajhta hai
KHushi chipka ke honTon par naya chehra banata hun
main kaise aata jata hun sar-e-mahfil samajhta hai
sar-e-maqtal ye kaTne ko jhukegi to ana ke sath
meri gardan ki KHubi ko mera qatil samajhta hai
saKHawat to mashiyyat pe hi mabni hai saKHi ki par
gham-e-inkar kya hai ye dil-e-sail samajhta hai
yahan insaf hona ghair-mumkin hai miyan 'danish'
ye munsif haq-bayani ko zara mushkil samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.