hai makin koi dusra mujh mein
hai makīñ koī dūsrā mujh meñ
mujh se bhī kuchh hai māvarā mujh meñ
sho.ala-e-tūr jal bujhā mujh meñ
kaash mil jaa.e ab ḳhudā mujh meñ
mujh ko mujh se judā kiyā ya.anī
us ne ḳhud ko milā diyā mujh meñ
zehn-o-dil kī hadoñ se duur kahīñ
bāb-e-imkāñ koī khulā mujh meñ
shab ko vo ḳhud supurdagī us kī
jaise ik raaz khul gayā mujh meñ
mujh ko ehsās hī nahīñ thā magar
maiñ hī thā vo jo mar gayā mujh meñ
apnā nām-o-nishāñ nahīñ miltā
tujh se mil kar ye kyā huā mujh meñ
harf-e-haq jis kā ḳhauf thā mujh ko
kah diyā kis ne barmalā mujh meñ
mere lab par baqā kā giit rahā
go panaptī rahī fanā mujh meñ
nāravā kī to baat kyā kiije
ab ravā bhī nahīñ ravā mujh meñ
merī taqsīm baar baar huī
ab to maiñ bhī nahīñ rahā mujh meñ
terī sachchā.ī mo.ajiza Thahrī
khul gayā jo fareb thā mujh meñ
vaqt kaise miTā.egā mujh ko
vo to zanjīr ho chukā mujh meñ
har taġhayyur hai merā parvarda
aur kuchh bhī nahīñ nayā mujh meñ
us ko paane ke ba.ad bhī jaise
us ko paane kā ḳhauf thā mujh meñ
hai baḌe ma.arke kā ran 'shāriq'
ek hañgāma hai bapā mujh meñ
hai makin koi dusra mujh mein
mujh se bhi kuchh hai mawara mujh mein
shoala-e-tur jal bujha mujh mein
kash mil jae ab KHuda mujh mein
mujh ko mujh se juda kiya yani
us ne KHud ko mila diya mujh mein
zehn-o-dil ki hadon se dur kahin
bab-e-imkan koi khula mujh mein
shab ko wo KHud supurdagi us ki
jaise ek raaz khul gaya mujh mein
mujh ko ehsas hi nahin tha magar
main hi tha wo jo mar gaya mujh mein
apna nam-o-nishan nahin milta
tujh se mil kar ye kya hua mujh mein
harf-e-haq jis ka KHauf tha mujh ko
kah diya kis ne barmala mujh mein
mere lab par baqa ka git raha
go panapti rahi fana mujh mein
narawa ki to baat kya kije
ab rawa bhi nahin rawa mujh mein
meri taqsim bar bar hui
ab to main bhi nahin raha mujh mein
teri sachchai moajiza Thahri
khul gaya jo fareb tha mujh mein
waqt kaise miTaega mujh ko
wo to zanjir ho chuka mujh mein
har taghayyur hai mera parwarda
aur kuchh bhi nahin naya mujh mein
us ko pane ke baad bhi jaise
us ko pane ka KHauf tha mujh mein
hai baDe marke ka ran 'shaariq'
ek hangama hai bapa mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.