hai mazaq-e-zinda-dili yahi isi maslahat ne maza diya
hai mazaq-e-zinda-dili yahi isi maslahat ne maza diya
Aal-e-Raza Raza
MORE BYAal-e-Raza Raza
hai mazāq-e-zinda-dilī yahī isī maslahat ne mazā diyā
na judā ho dil se kasak kabhī vo mizāj-e-dard banā diyā
maiñ abhī kahāñ thā dil-e-hazīñ jo khulī hai aañkh to kuchh nahīñ
mirā farsh-e-ḳhāk to hai vahīñ mujhe arsh-e-ḳhvāb ne kyā diyā
koī haq thā jis kā gila karūñ koī tum se kahne kī baat hai
ki hañsī ḳhushī ke sulūk kā jo rivāj thā vo uThā diyā
mire dard-e-dil kī kise ḳhabar ki ġharīb-e-dil kā payāmbar
vahī rang-e-ruḳh thā kisī qadar jo hañsī meñ sab ne uḌā diyā
hai muġhālta bhī ajiib shai vo na yaad aa.egā tā-ba-ke
jo chhupā ke apne hī zehn meñ ye samajh liyā ki bhulā diyā
rah-o-rasm-e-ishq kī manzileñ vo nazākateñ vo latāfateñ
kabhī lutf āfat-e-jāñ banā kabhī jhiḌkiyoñ ne mazā diyā
vo talavvun-e-dam-e-hosh thā kabhī kuchh bane kabhī kuchh bane
ye junūn-e-ishq kī shaan hai jo banā diyā so banā diyā
ye charāg merī umiid kā ye ghaḌī ghaḌī tirā mashġhala
kabhī duur hī se jalā diyā kabhī paas aa ke bujhā diyā
jo nazar milī to ye soch thā ki savāl aap se kyā karūñ
jo kiyā savāl to soch hai ki javāb aap ne kyā diyā
hai 'razā' ye hasb-e-maqām-e-dil ki payām-e-dil ho ba-nām-e-dil
koī qadr-dān-e-kalām-e-dil kahīñ mil gayā to sunā diyā
hai mazaq-e-zinda-dili yahi isi maslahat ne maza diya
na juda ho dil se kasak kabhi wo mizaj-e-dard bana diya
main abhi kahan tha dil-e-hazin jo khuli hai aankh to kuchh nahin
mera farsh-e-KHak to hai wahin mujhe arsh-e-KHwab ne kya diya
koi haq tha jis ka gila karun koi tum se kahne ki baat hai
ki hansi KHushi ke suluk ka jo riwaj tha wo uTha diya
mere dard-e-dil ki kise KHabar ki gharib-e-dil ka payambar
wahi rang-e-ruKH tha kisi qadar jo hansi mein sab ne uDa diya
hai mughaalta bhi ajib shai wo na yaad aaega ta-ba-ke
jo chhupa ke apne hi zehn mein ye samajh liya ki bhula diya
rah-o-rasm-e-ishq ki manzilen wo nazakaten wo latafaten
kabhi lutf aafat-e-jaan bana kabhi jhiDkiyon ne maza diya
wo talawwun-e-dam-e-hosh tha kabhi kuchh bane kabhi kuchh bane
ye junun-e-ishq ki shan hai jo bana diya so bana diya
ye charag meri umid ka ye ghaDi ghaDi tera mashghala
kabhi dur hi se jala diya kabhi pas aa ke bujha diya
jo nazar mili to ye soch tha ki sawal aap se kya karun
jo kiya sawal to soch hai ki jawab aap ne kya diya
hai 'raza' ye hasb-e-maqam-e-dil ki payam-e-dil ho ba-nam-e-dil
koi qadr-dan-e-kalam-e-dil kahin mil gaya to suna diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.