hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh
hai mere gird yaqīnan kahīñ hisār sā kuchh
aur us ko bhī hai du'āoñ pe e'tibār sā kuchh
kahīñ to gosha-e-dil meñ umiid baaqī hai
kahīñ hai us kī nazar meñ bhī intizār sā kuchh
kahā jab us ne ke āñkhoñ pe e'tibār na kar
to maiñ ne maañg liyā dil pe iḳhtiyār sā kuchh
ye saarā khel faqat gardishoñ kā hai āhang
fuzūl DhūñD rahe ho yahāñ qarār sā kuchh
jo le ke aayā thā sailāb ḳhushbūoñ kā kabhī
vo bhar gayā hai mirī aañkh meñ ġhubār sā kuchh
utar chukā hai badan se tamām nasha-e-vasl
chaḌhā chaḌhā sā tabī'at pe hai ḳhumār sā kuchh
sunā hai ye bhī buzurgī kī ik 'alāmat hai
so maiñ bhī hone lagā 'tāj' ḳhāksār sā kuchh
hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh
aur us ko bhi hai du'aon pe e'tibar sa kuchh
kahin to gosha-e-dil mein umid baqi hai
kahin hai us ki nazar mein bhi intizar sa kuchh
kaha jab us ne ke aankhon pe e'tibar na kar
to main ne mang liya dil pe iKHtiyar sa kuchh
ye sara khel faqat gardishon ka hai aahang
fuzul DhunD rahe ho yahan qarar sa kuchh
jo le ke aaya tha sailab KHushbuon ka kabhi
wo bhar gaya hai meri aankh mein ghubar sa kuchh
utar chuka hai badan se tamam nasha-e-wasl
chaDha chaDha sa tabi'at pe hai KHumar sa kuchh
suna hai ye bhi buzurgi ki ek 'alamat hai
so main bhi hone laga 'taj' KHaksar sa kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.