hai mere samne taswir-e-chashm-e-yar hanuz
hai mere samne taswir-e-chashm-e-yar hanuz
S. Nooruddin Anwar Bhopali
MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali
hai mere sāmne tasvīr-e-chashm-e-yār hanūz
maiñ pī rahā huuñ mai-e-husn baar baar hanūz
tamām raat vo uTh uTh ke baiThnā tauba
mirī nigāh meñ hai hashr-e-intizār hanūz
ba-qadr-e-shauq tirā dard-mand-e-ishq huuñ maiñ
ba-qadr-e-zarf mirā dil hai be-qarār hanūz
agarche ek dafa pī thī zindagī kī sharāb
bhugat rahā huuñ maiñ ḳhamyāza-e-ḳhumār hunūz
bahār ruuTh ke mujh se chalī ga.ī lekin
mirī nigāh meñ hai jalva-e-bahār hanūz
yaqīn hai ki vo 'anvar' yahāñ na ā.eñge
uThā rahā huuñ magar lutf-e-intizār hanūz
hai mere samne taswir-e-chashm-e-yar hanuz
main pi raha hun mai-e-husn bar bar hanuz
tamam raat wo uTh uTh ke baiThna tauba
meri nigah mein hai hashr-e-intizar hanuz
ba-qadr-e-shauq tera dard-mand-e-ishq hun main
ba-qadr-e-zarf mera dil hai be-qarar hanuz
agarche ek dafa pi thi zindagi ki sharab
bhugat raha hun main KHamyaza-e-KHumar hunuz
bahaar ruTh ke mujh se chali gai lekin
meri nigah mein hai jalwa-e-bahaar hanuz
yaqin hai ki wo 'anwar' yahan na aaenge
uTha raha hun magar lutf-e-intizar hanuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.