hai meri zist ka sahaara gham
hai merī ziist kā sahārā ġham
jo milā hai mujhe tumhārā ġham
ambiyā par kitāb nāzil kī
aur dil par mire utārā ġham
yaar kā ġham bhī yaar hotā hai
yaar hotā nahīñ ḳhasāra ġham
husn sola siñghār kartā hai
aur kar aayā hai aThārah ġham
qalb raushan usī se hai 'ālam'
hai tajallī kā isti.āra ġham
hai meri zist ka sahaara gham
jo mila hai mujhe tumhaara gham
ambiya par kitab nazil ki
aur dil par mere utara gham
yar ka gham bhi yar hota hai
yar hota nahin KHasara gham
husn sola singhaar karta hai
aur kar aaya hai aThaarah gham
qalb raushan usi se hai 'alam'
hai tajalli ka istiara gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.