hai mere dil ki ye taswir nazar mein rakh lo
hai mire dil kī ye tasvīr nazar meñ rakh lo
ek TuuTā huā armān huuñ ghar meñ rakh lo
jāntā huuñ ki abhī saath nahīñ aa saktā
par mirī yaad to sāmān-e-safar meñ rakh lo
yuuñ to uḌne ke liye tāqat-e-parvāz bhī hai
phir bhī chāho to mirā hausla par meñ rakh lo
ye vahī gaañv haiñ fasleñ jo ugāte the kabhī
bhuuk le aa.ī hai in ko to nagar meñ rakh lo
hai mere dil ki ye taswir nazar mein rakh lo
ek TuTa hua arman hun ghar mein rakh lo
jaanta hun ki abhi sath nahin aa sakta
par meri yaad to saman-e-safar mein rakh lo
yun to uDne ke liye taqat-e-parwaz bhi hai
phir bhi chaho to mera hausla par mein rakh lo
ye wahi ganw hain faslen jo ugate the kabhi
bhuk le aai hai in ko to nagar mein rakh lo
- Book : Khushboo Rang Sada ke Sang (Pg. 96)
- Author : Dr. Preem Bhandari
- Publication : Westzone Culture Center Udaipur (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.