hai mere hind ki tahzib ki paikar urdu
hai mire hind kī tahzīb kī paikar urdu
apnī mushtarka virāsat kī hai duḳhtar urdu
is ke har lafz meñ tahzīb kī nūrānī hai
lafz-e-tābāñ liye hai mere munavvar urdu
mulk mere kabhī mahsūs kiyā hai tū ne
terī guftār meñ aa jaatī hai aksar urdu
'mīr' o 'ġhālib' hoñ yā 'sāhir' se nagīne kitne
tū ne ham ko diye mumtāz suḳhanvar urdu
tere shaidā.ī haiñ phūloñ se tujhe Dhak leñge
tujh pe ā.eñge siyāsat ke jo patthar urdu
hind kī ḳhaak kā har rang milā hai tujh meñ
saarī nadiyoñ se banī hai tū samundar urdu
mujh ko ab sirf usī din kī tamanna hai 'sahāb'
bolī jā.egī mire mulk meñ ghar ghar urdu
hai mere hind ki tahzib ki paikar urdu
apni mushtarka wirasat ki hai duKHtar urdu
is ke har lafz mein tahzib ki nurani hai
lafz-e-taban liye hai mere munawwar urdu
mulk mere kabhi mahsus kiya hai tu ne
teri guftar mein aa jati hai aksar urdu
'mir' o 'ghaalib' hon ya 'sahir' se nagine kitne
tu ne hum ko diye mumtaz suKHanwar urdu
tere shaidai hain phulon se tujhe Dhak lenge
tujh pe aaenge siyasat ke jo patthar urdu
hind ki KHak ka har rang mila hai tujh mein
sari nadiyon se bani hai tu samundar urdu
mujh ko ab sirf usi din ki tamanna hai 'sahab'
boli jaegi mere mulk mein ghar ghar urdu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.