hai mere samne mere liye dil-gir koi
hai mire sāmne mere liye dil-gīr koī
shāyad ab husn ke tarkash meñ nahīñ tiir koī
jazba-e-shauq kī dekhe mire tāsīr koī
ban ke aaya hai mire sher kī tafsīr koī
jurm-e-ulfat kī sazā dār-o-rasan tak mahdūd
aur kuchh is se sivā chāhiye tāzīr koī
aa.ina ban ke tirī bazm meñ sab kuchh dekhā
aur ḳhāmosh rahā sūrat-e-tasvīr koī
merī vahshat se hai zindāñ meñ jo ik hashr bapā
aa ke thoḌī sī ghaTā de mirī zanjīr koī
ek hī baat pe chehroñ ke badal jaane se
qābil-e-dād koī lā.eq-e-tāzīr koī
haiñ mirī nok-e-mizha par bhī nigāheñ sab kī
aañkh kā apnī nahīñ dekhtā shahtīr koī
'zabt' vo nudrat-e-guftār milī hai mujh ko
shauq se suntā hai aksar mirī taqrīr koī
hai mere samne mere liye dil-gir koi
shayad ab husn ke tarkash mein nahin tir koi
jazba-e-shauq ki dekhe mere tasir koi
ban ke aaya hai mere sher ki tafsir koi
jurm-e-ulfat ki saza dar-o-rasan tak mahdud
aur kuchh is se siwa chahiye tazir koi
aaina ban ke teri bazm mein sab kuchh dekha
aur KHamosh raha surat-e-taswir koi
meri wahshat se hai zindan mein jo ek hashr bapa
aa ke thoDi si ghaTa de meri zanjir koi
ek hi baat pe chehron ke badal jaane se
qabil-e-dad koi laeq-e-tazir koi
hain meri nok-e-mizha par bhi nigahen sab ki
aankh ka apni nahin dekhta shahtir koi
'zabt' wo nudrat-e-guftar mili hai mujh ko
shauq se sunta hai aksar meri taqrir koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.