hai mujhko andaza khul bhi sakta hai
hai mujh ko andāza khul bhī saktā hai
dastak par darvāza khul bhī saktā hai
hijr meñ tum mohtāt raho to behtar hai
kyūñki zaḳhm hai taaza khul bhī saktā hai
sone vāloñ ko ma.alūm nahīñ shāyad
ḳhvāboñ kā ḳhamyāza khul bhī saktā hai
itnā bhī mohtāt nahīñ hotā ye dost
ruḳhsāroñ par ġhāza khul bhī saktā hai
sannāTā ab itnā bhī be-dard nahīñ
chup par ye āvāza khul bhī saktā hai
kaise ishq kā har jānib ‘mannān-qādīr’
bikhrā hai shīrāza khul bhī saktā hai
hai mujh ko andaza khul bhi sakta hai
dastak par darwaza khul bhi sakta hai
hijr mein tum mohtat raho to behtar hai
kyunki zaKHm hai taza khul bhi sakta hai
sone walon ko malum nahin shayad
KHwabon ka KHamyaza khul bhi sakta hai
itna bhi mohtat nahin hota ye dost
ruKHsaron par ghaza khul bhi sakta hai
sannaTa ab itna bhi be-dard nahin
chup par ye aawaza khul bhi sakta hai
kaise ishq ka har jaanib ‘mannan-qadir’
bikhra hai shiraaza khul bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.