hai mujh mein bhi koi nigahban jaisa
hai mujh meñ bhī koī nigahbān jaisā
maiñ apne meñ rahtā huuñ mīzān jaisā
hamesha hī ik phuul khiltā rahegā
mirī shāḳh-e-dil par bhī īmān jaisā
tah-e-ḳhāk honā hai gulzār honā
ba-zāhir ye saudā hai nuqsān jaisā
kisī azhdahe kā na saaya ho is par
harā peḌ ho kar hai vīrān jaisā
bahar-hāl ham zindagī jī ke dekhe
ye mazmūñ nahīñ apne unvān jaisā
sunā an-sunā kar diyā hai sabhī ne
maiñ logoñ meñ hotā huuñ elaan jaisā
maiñ kyā qatl kartā ki 'jāved' us meñ
koī chhup ke baiThā thā insān jaisā
hai mujh mein bhi koi nigahban jaisa
main apne mein rahta hun mizan jaisa
hamesha hi ek phul khilta rahega
meri shaKH-e-dil par bhi iman jaisa
tah-e-KHak hona hai gulzar hona
ba-zahir ye sauda hai nuqsan jaisa
kisi azhdahe ka na saya ho is par
hara peD ho kar hai viran jaisa
bahar-haal hum zindagi ji ke dekhe
ye mazmun nahin apne unwan jaisa
suna an-suna kar diya hai sabhi ne
main logon mein hota hun elan jaisa
main kya qatl karta ki 'jawed' us mein
koi chhup ke baiTha tha insan jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.