hai naraaz wo tu mulaqat to kar
hai nārāz vo tū mulāqāt to kar
javābāt de kuchh savālāt to kar
ḳhatāvār haiñ ham sazā-vār bhī haiñ
tū bas dar-guzar kar musāfāt to kar
hai pur laġhzishoñ se kahānī hamārī
tū sattār hai kuchh karāmāt to kar
yuuñ to zindagī guzrī gumrāhī meñ par
gumāñ nek rakh tū shurūāt to kar
hai ummīd par duniyā qaa.em ai 'gulzār'
manā le use tū munājāt to kar
hai naraaz wo tu mulaqat to kar
jawabaat de kuchh sawalat to kar
KHatawar hain hum saza-war bhi hain
tu bas dar-guzar kar musafat to kar
hai pur laghzishon se kahani hamari
tu sattar hai kuchh karamat to kar
yun to zindagi guzri gumrahi mein par
guman nek rakh tu shuruat to kar
hai ummid par duniya qaem ai 'gulzar'
mana le use tu munajat to kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.