hai nahin mera jatana bhi mujhe chahta hai
hai nahin mera jatana bhi mujhe chahta hai
Rajeev Riyaz Pratapgarhi
MORE BYRajeev Riyaz Pratapgarhi
hai nahīñ merā jatānā bhī mujhe chāhtā hai
aur vo shāna-ba-shāna bhī mujhe chāhtā hai
thaam kar uñglī sikhāyā bhī usī ne chalnā
ab vahī shaḳhs miTānā bhī mujhe chāhtā hai
bas tirā ho ke rahūñgā maiñ ye kaise kah duuñ
baat ye hai ki zamāna bhī mujhe chāhtā hai
pahle kahtā thā ki huuñ us ke badan kā gahnā
haañ magar ab vo galānā bhī mujhe chāhtā hai
pahle to jism kiyā tīroñ se merā chhalnī
ab vo siine se lagānā bhī mujhe chāhtā hai
dafn karnā to 'riyāz' aadhā hī karnā mujh ko
kyūñki 'rājīv' jalānā bhī mujhe chāhtā hai
hai nahin mera jatana bhi mujhe chahta hai
aur wo shana-ba-shana bhi mujhe chahta hai
tham kar ungli sikhaya bhi usi ne chalna
ab wahi shaKHs miTana bhi mujhe chahta hai
bas tera ho ke rahunga main ye kaise kah dun
baat ye hai ki zamana bhi mujhe chahta hai
pahle kahta tha ki hun us ke badan ka gahna
han magar ab wo galana bhi mujhe chahta hai
pahle to jism kiya tiron se mera chhalni
ab wo sine se lagana bhi mujhe chahta hai
dafn karna to 'riyaz' aadha hi karna mujh ko
kyunki 'rajiw' jalana bhi mujhe chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.