hai nazar mein jo baal shishe ka
hai nazar meñ jo baal shīshe kā
kyā yahī hai zavāl shīshe kā
tū ne patthar pe rakh diyā kaise
dil hai merā sañbhāl shīshe kā
hashr barpā hai pattharoñ kā janāb
thoḌā rakhiye ḳhayāl shīshe kā
muñh haqīqat se kyā chhupātā hai
ḳhauf dil se nikāl shīshe kā
Tuut kar ek se anek huā
bas yahī hai kamāl shīshe kā
tum ne patthar se dostī kar lī
kuchh to rakhte ḳhayāl shīshe kā
pattharoñ ke jahān meñ 'ārif'
paḌne vaalā hai kaal shīshe kā
hai nazar mein jo baal shishe ka
kya yahi hai zawal shishe ka
tu ne patthar pe rakh diya kaise
dil hai mera sanbhaal shishe ka
hashr barpa hai pattharon ka janab
thoDa rakhiye KHayal shishe ka
munh haqiqat se kya chhupata hai
KHauf dil se nikal shishe ka
Tut kar ek se anek hua
bas yahi hai kamal shishe ka
tum ne patthar se dosti kar li
kuchh to rakhte KHayal shishe ka
pattharon ke jahan mein 'arif'
paDne wala hai kal shishe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.