hai nihayat saKHt shan-e-imtihan-e-ku-e-dost
hai nihāyat saḳht shān-e-imtihān-e-kū-e-dost
zindagī se haath dho leñ sākinān-e-kū-e-dost
jab nahīñ paate pata nā-vāqifān-e-kū-e-dost
dard uTh uTh ke batātā hai nishān-e-kū-e-dost
tañg karte haiñ hameñ kyuuñ pāsbān-e-kū-e-dost
aur haiñ do-chār din ham mehmān-e-kū-e-dost
nā-tavāñ ye aur manzil ishq kī dushvār-tar
chalte chalte thak na jaa.eñ rah-ravān-e-dost
ārzū-e-vasl hai ab aur na furqat kā alam
shukr hai ārām se haiñ ḳhuftagān-e-kū-e-dost
kaun sī jā hai asīrān-e-mohabbat ke liye
kis liye jaa.eñ kahīñ vābastagān-e-kū-e-dost
ai 'rashīd' ulfat meñ jazb-e-dil salāmat chāhiye
DhūñD hī leñge kisī sūrat nishān-e-kū-e-dost
hai nihayat saKHt shan-e-imtihan-e-ku-e-dost
zindagi se hath dho len sakinan-e-ku-e-dost
jab nahin pate pata na-waqifan-e-ku-e-dost
dard uTh uTh ke batata hai nishan-e-ku-e-dost
tang karte hain hamein kyun pasban-e-ku-e-dost
aur hain do-chaar din hum mehman-e-ku-e-dost
na-tawan ye aur manzil ishq ki dushwar-tar
chalte chalte thak na jaen rah-rawan-e-dost
aarzu-e-wasl hai ab aur na furqat ka alam
shukr hai aaram se hain KHuftagan-e-ku-e-dost
kaun si ja hai asiran-e-mohabbat ke liye
kis liye jaen kahin wabastagan-e-ku-e-dost
ai 'rashid' ulfat mein jazb-e-dil salamat chahiye
DhunD hi lenge kisi surat nishan-e-ku-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.