hai nok-e-Khaar mein kuchh wo to sabza-zar mein kuchh
hai nok-e-Khaar mein kuchh wo to sabza-zar mein kuchh
Jai Prakash Ghafil
MORE BYJai Prakash Ghafil
hai nok-e-ḳhār meñ kuchh vo to sabza-zār meñ kuchh
ḳhizāñ meñ kuchh hai magar mausam-e-bahār meñ kuchh
guhar thā maah thā jugnū thā yā sitāra-e-shām
chamak rahā thā tirī chashm-e-ashk-bār meñ kuchh
kahāñ ke vahm-o-gumāñ kā hai silsila mirī ziist
ki us ke paar hī kuchh hai na is hisār meñ kuchh
tamām-umr vahī misl-e-ḳhār chubhte rahe
guzar ga.e the jo pal sāya-e-bahār meñ kuchh
phir is ke ba.ad hai ḳhud par yaqīñ na duniyā par
thī aisī baat hī ik pal ke e'tibār meñ kuchh
maiñ us kī yaad se dāman chhuḌā luuñ mujh ko ḳhayāl
tab aayā jab na rahā mere iḳhtiyār meñ kuchh
na chāhtā vo to raushan na hotī koī bhī shai
hai nuur us kā bhī kyā shām-e-intizār meñ kuchh
hai nok-e-KHar mein kuchh wo to sabza-zar mein kuchh
KHizan mein kuchh hai magar mausam-e-bahaar mein kuchh
guhar tha mah tha jugnu tha ya sitara-e-sham
chamak raha tha teri chashm-e-ashk-bar mein kuchh
kahan ke wahm-o-guman ka hai silsila meri zist
ki us ke par hi kuchh hai na is hisar mein kuchh
tamam-umr wahi misl-e-KHar chubhte rahe
guzar gae the jo pal saya-e-bahaar mein kuchh
phir is ke baad hai KHud par yaqin na duniya par
thi aisi baat hi ek pal ke e'tibar mein kuchh
main us ki yaad se daman chhuDa lun mujh ko KHayal
tab aaya jab na raha mere iKHtiyar mein kuchh
na chahta wo to raushan na hoti koi bhi shai
hai nur us ka bhi kya sham-e-intizar mein kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.