hai pas-e-diwar dhimi raushni
hai pas-e-dīvār dhīmī raushnī
ātishīñ yalġhār dhīmī raushnī
ek bhaTkī ruuh aur suunī saḌak
kis qadar bezār dhīmī raushnī
chār-sū tārīkiyoñ ke marhale
āhanī talvār dhīmī raushnī
nok-e-neza aur sahrā kī tapish
qāfila-sālār dhīmī raushnī
ḳhūbsūrat ālamī stage par
āḳhirī kirdār dhīmī raushnī
ret dariyā aur kuufe kā safar
rāsta dushvār dhīmī raushnī
'nāz' sab kuchh yaad hai ab bhī mujhe
be-vafā kā pyaar dhīmī raushnī
hai pas-e-diwar dhimi raushni
aatishin yalghaar dhimi raushni
ek bhaTki ruh aur suni saDak
kis qadar bezar dhimi raushni
chaar-su tarikiyon ke marhale
aahani talwar dhimi raushni
nok-e-neza aur sahra ki tapish
qafila-salar dhimi raushni
KHubsurat aalami stage par
aaKHiri kirdar dhimi raushni
ret dariya aur kufe ka safar
rasta dushwar dhimi raushni
'naz' sab kuchh yaad hai ab bhi mujhe
be-wafa ka pyar dhimi raushni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.