hai pesh-e-nazar shoKHi-e-tahrir kisi ki
hai pesh-e-nazar shoḳhi-e-tahrīr kisī kī
kāġhaz pe utar aa.ī hai tasvīr kisī kī
hāsil hai farāġhat to na itrāo ziyāda
rahtī hai na rah pā.egī jāgīr kisī kī
duniyā jise kahte haiñ miyāñ jā-e-amal hai
bātoñ se kahīñ bantī hai taqdīr kisī kī
kam-zarf qayās apne pe kar lete haiñ ḳhud hī
ham sher meñ karte nahīñ tahqīr kisī kī
kis haal meñ yārān-e-adam haiñ nahīñ ma.alūm
aa.ī na ḳhabar tā-dam-e-tahrīr kisī kī
is baab meñ ahbāb ko hāsil hai fazīlat
kab merī taraf hotī hai tash.hīr kisī kī
lagtā hai ki dīvānoñ ko raas aa gayā zindāñ
muddat se khaḌaktī nahīñ zanjīr kisī kī
hai pesh-e-nazar shoKHi-e-tahrir kisi ki
kaghaz pe utar aai hai taswir kisi ki
hasil hai faraghat to na itrao ziyaada
rahti hai na rah paegi jagir kisi ki
duniya jise kahte hain miyan ja-e-amal hai
baaton se kahin banti hai taqdir kisi ki
kam-zarf qayas apne pe kar lete hain KHud hi
hum sher mein karte nahin tahqir kisi ki
kis haal mein yaran-e-adam hain nahin malum
aai na KHabar ta-dam-e-tahrir kisi ki
is bab mein ahbab ko hasil hai fazilat
kab meri taraf hoti hai tashhir kisi ki
lagta hai ki diwanon ko ras aa gaya zindan
muddat se khaDakti nahin zanjir kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.