hai phaili chaar-su ye tirgi kya
hai phaili chaar-su ye tirgi kya
Khawaja Manzar Hasan Manzar
MORE BYKhawaja Manzar Hasan Manzar
hai phailī chār-sū ye tīrgī kyā
jo shama-e-ārzū thī bujh ga.ī kyā
banānā aur banā kar toḌ denā
junūñ-añgez hai shīshagarī kyā
maiñ apnā aap dushman ho gayā huuñ
karegā ab koī chāragarī kyā
ḳhafā mujh se jo merī zindagī hai
ajal ko bhī hai kam nārāzgī kyā
na jaane aaj kyoñ luTne kā ġham hai
koī daulat hamāre paas thī kyā
guloñ tak aa hī pahuñchā dast-e-gul-chīñ
chaman kī aabrū baaqī rahī kyā
patā jis ko milā terā vo ġham hai
kamāl-e-āgahī hai be-ḳhudī kyā
yahāñ to aag sī dil meñ lagī hai
lagī dil kī hai koī dil-lagī kyā
takabbur se kisī ko kyā milā hai
habāb-e-bahr kī dariyā-dilī kyā
na raas aa.egī 'manzar' sher-goī
ki tum kyā aur tumhārī shā.erī kyā
hai phaili chaar-su ye tirgi kya
jo shama-e-arzu thi bujh gai kya
banana aur bana kar toD dena
junun-angez hai shishagari kya
main apna aap dushman ho gaya hun
karega ab koi chaaragari kya
KHafa mujh se jo meri zindagi hai
ajal ko bhi hai kam naraazgi kya
na jaane aaj kyon luTne ka gham hai
koi daulat hamare pas thi kya
gulon tak aa hi pahuncha dast-e-gul-chin
chaman ki aabru baqi rahi kya
pata jis ko mila tera wo gham hai
kamal-e-agahi hai be-KHudi kya
yahan to aag si dil mein lagi hai
lagi dil ki hai koi dil-lagi kya
takabbur se kisi ko kya mila hai
habab-e-bahr ki dariya-dili kya
na ras aaegi 'manzar' sher-goi
ki tum kya aur tumhaari shaeri kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.