hai phul ki us ka naqsh-e-pa hai
hai phuul ki us kā naqsh-e-pā hai
ā.īna sā raah meñ paḌā hai
kyā ḳhūbī-e-ḳhanjar-e-adā hai
har zaḳhm takallum-āshnā hai
us haath pe surḳhī-e-hinā hai
yā dil se lahū Tapak rahā hai
hai sail-e-ravāñ ġhamoñ kā phir bhī
jiine kā mujh meñ hausla hai
bārish hī use hayāt degī
quqnus to abhī jalā huā hai
qāsid kā yaqīñ nahīñ hai mujh ko
ḳhat terā kyoñ khulā huā hai
e.ajāz hai mere ābloñ kā
sahrā-e-junūñ harā-bharā hai
girdāb meñ hai safīna merā
'sāhil' ḳhāmosh tak rahā hai
hai phul ki us ka naqsh-e-pa hai
aaina sa rah mein paDa hai
kya KHubi-e-KHanjar-e-ada hai
har zaKHm takallum-ashna hai
us hath pe surKHi-e-hina hai
ya dil se lahu Tapak raha hai
hai sail-e-rawan ghamon ka phir bhi
jine ka mujh mein hausla hai
barish hi use hayat degi
quqnus to abhi jala hua hai
qasid ka yaqin nahin hai mujh ko
KHat tera kyon khula hua hai
eajaz hai mere aablon ka
sahra-e-junun hara-bhara hai
girdab mein hai safina mera
'sahil' KHamosh tak raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.