hai pyar mujhko kitna batana paDa use
hai pyaar mujh ko kitnā batānā paḌā use
phir āḳhirī meñ mujh ko bhulānā paḌā use
pahle to us ne pyaar jatāyā bahut magar
phir kyā huā ki chhoḌ ke jaanā paḌā use
har din maiñ us ko yaad bhī aatā thā aur phir
mujh ko yuuñ zehn se bhī miTānā paḌā use
jab tak rahā vo saath use taklīf thī bahut
to fāsla yuuñ mujh se banānā paḌā use
'raunaq' ne ye kahā ki mohabbat dikhāvā hai
ye baat sach thī sach to jatānā paḌā use
hai pyar mujh ko kitna batana paDa use
phir aaKHiri mein mujh ko bhulana paDa use
pahle to us ne pyar jataya bahut magar
phir kya hua ki chhoD ke jaana paDa use
har din main us ko yaad bhi aata tha aur phir
mujh ko yun zehn se bhi miTana paDa use
jab tak raha wo sath use taklif thi bahut
to fasla yun mujh se banana paDa use
'raunaq' ne ye kaha ki mohabbat dikhawa hai
ye baat sach thi sach to jatana paDa use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.