hai qaid-o-band si haalat meri rihai mein
hai qaid-o-band si haalat meri rihai mein
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
hai qaid-o-band sī hālat mirī rihā.ī meñ
to sochtā huuñ ḳhalal Daal duuñ ḳhudā.ī meñ
zamāna jin kī qayādat meñ gāmzan thā vo log
bhaTak ga.e tirī āñkhoñ kī rahnumā.ī meñ
guzishta shab kā koī aish khul nahīñ paatā
baḌe maze haiñ yahāñ din kī pārsā.ī meñ
kahāñ huuñ maiñ ki jo hairat-zada zamāna hai
kahāñ ho tum ki jo shāmil the jag-hañsā.ī meñ
kuchh aur der na sūraj uge ki raushan haiñ
mire charāġh havāoñ kī rahnumā.ī meñ
hai qaid-o-band si haalat meri rihai mein
to sochta hun KHalal Dal dun KHudai mein
zamana jin ki qayaadat mein gamzan tha wo log
bhaTak gae teri aankhon ki rahnumai mein
guzishta shab ka koi aish khul nahin pata
baDe maze hain yahan din ki parsai mein
kahan hun main ki jo hairat-zada zamana hai
kahan ho tum ki jo shamil the jag-hansai mein
kuchh aur der na suraj uge ki raushan hain
mere charagh hawaon ki rahnumai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.