hai qissa muKHtasar mere safar ka
hai qissa muḳhtasar mere safar kā
na paanī hai na saaya hai shajar kā
nahīñ hai jis pe terā naqsh-e-pā tak
bharosa kyā hai aisī zindagī kā
chalā huuñ jānib-e-manzil meñ lekin
nahīñ nām-o-nishāñ tak rahguzar kā
ḳhayāl-e-yār meñ gum ho gayā huuñ
pata maiñ kis se pūchhūñ apne ghar kā
nahīñ sahbā kī azmat se maiñ munkir
ye nasha hai magar hai raat bhar kā
zamāne bhar meñ rusvā ho gayā huuñ
karishma hai ye bas terī nazar kā
'premī' jab bhī jalva-gar vo hogā
badal jā.egā manzar bām-o-dar kā
hai qissa muKHtasar mere safar ka
na pani hai na saya hai shajar ka
nahin hai jis pe tera naqsh-e-pa tak
bharosa kya hai aisi zindagi ka
chala hun jaanib-e-manzil mein lekin
nahin nam-o-nishan tak rahguzar ka
KHayal-e-yar mein gum ho gaya hun
pata main kis se puchhun apne ghar ka
nahin sahba ki azmat se main munkir
ye nasha hai magar hai raat bhar ka
zamane bhar mein ruswa ho gaya hun
karishma hai ye bas teri nazar ka
'premi' jab bhi jalwa-gar wo hoga
badal jaega manzar baam-o-dar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.