hai rawan ek aabju mujh mein
hai ravāñ ek aabjū mujh meñ
koī rahtā hai narm-ḳhū mujh meñ
maiñ samātā nahīñ huuñ aalam meñ
ai ḳhudā aa gayā hai tū mujh meñ
koī mahshar bapā na ho jaa.e
jam gayā hai mirā lahū mujh meñ
dair-o-ka.aba nahīñ kalīsā meñ
koī kartā hai hāo-hū mujh meñ
terā 'iqrār' hī to hai be-shak
rū-ba-rū aur kū-ba-kū mujh meñ
hai rawan ek aabju mujh mein
koi rahta hai narm-KHu mujh mein
main samata nahin hun aalam mein
ai KHuda aa gaya hai tu mujh mein
koi mahshar bapa na ho jae
jam gaya hai mera lahu mujh mein
dair-o-kaba nahin kalisa mein
koi karta hai hao-hu mujh mein
tera 'iqrar' hi to hai be-shak
ru-ba-ru aur ku-ba-ku mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.