Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hai shahr-e-ulfat mein qadghanon se ajib KHauf-o-hiras rahna

Is.haq Zafar

hai shahr-e-ulfat mein qadghanon se ajib KHauf-o-hiras rahna

Is.haq Zafar

MORE BYIs.haq Zafar

    hai shahr-e-ulfat meñ qadġhanoñ se ajiib ḳhauf-o-hirās rahnā

    ḳhizāñ ke aane pe yaas chhā.e bahār ho to pur-ās rahnā

    kabhī kabhī koī bhejtā hai nazar meñ chāhat phuul kaliyāñ

    mohabbatoñ nasīb Thahrā kabhī kabhī udaas rahnā

    agar ye chāho ki ziist guzre hañsī ḳhushī phuvār meñ

    bahut zarūrī hai ai 'zafar' ye tirā bhī mausam-shanās rahnā

    hai shahr-e-ulfat mein qadghanon se ajib KHauf-o-hiras rahna

    KHizan ke aane pe yas chhae bahaar ho to pur-as rahna

    kabhi kabhi koi bhejta hai nazar mein chahat ki phul kaliyan

    mohabbaton ka nasib Thahra kabhi kabhi ka udas rahna

    agar ye chaho ki zist guzre hansi KHushi ki phuwar mein hi

    bahut zaruri hai ai 'zafar' ye tera bhi mausam-shanas rahna

    Source :
    • Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 108)
    • Author : Siddiqah Begum
    • Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
    • Edition : 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now