hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-KHas par
hai shart qīmat-e-hunar bhī ab to rabt-e-ḳhās par
milegā sañg-e-dād bhī havā ke ruḳh ko dekh kar
kabhī havā kā ajr hai kabhī rutoñ kā hai hunar
kahāñ huā hai aaj tak parind koī mo'tabar
kanār-e-āb ḳhūñ-chakāñ jabīñ to ḳhaak ho chukī
ye kis kā 'aks pāniyoñ meñ phir uThā rahā hai sar
hazār meñ asiir huuñ tire tilism-e-nutq kī
ye qufl-e-dil kahāñ khulā kalīd-e-harf se magar
havā kā rizq ho chuke ujāle merī raah ke
ki ab ke phir siyāhiyoñ kī samt uTh ga.ī nazar
vo jā.egā to is ke baa'd dukh hī ghar meñ aa.egā
na jaane kis umiid par saje hue haiñ bām-o-dar
hai shart qimat-e-hunar bhi ab to rabt-e-KHas par
milega sang-e-dad bhi hawa ke ruKH ko dekh kar
kabhi hawa ka ajr hai kabhi ruton ka hai hunar
kahan hua hai aaj tak parind koi mo'tabar
kanar-e-ab KHun-chakan jabin to KHak ho chuki
ye kis ka 'aks paniyon mein phir uTha raha hai sar
hazar mein asir hun tere tilism-e-nutq ki
ye qufl-e-dil kahan khula kalid-e-harf se magar
hawa ka rizq ho chuke ujale meri rah ke
ki ab ke phir siyahiyon ki samt uTh gai nazar
wo jaega to is ke ba'd dukh hi ghar mein aaega
na jaane kis umid par saje hue hain baam-o-dar
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 245)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.