hai shikayat tujhse lekin muddaa koi nahin
hai shikāyat tujh se lekin mudda.ā koī nahīñ
ġhāliban mujh ko yaqīñ hai fā.eda koī nahīñ
ik ḳhalīj-e-zāt ke us paar hai saarā jahāñ
maiñ jahāñ par huuñ vahāñ par dūsrā koī nahīñ
dasht-e-hast-o-būd meñ buniyād sab kī ret hai
girtī dīvāroñ meñ chhat kā aasrā koī nahīñ
maiñ ne ye jaanā haqīqī-o-majāzī ek hai
gar makān-o-lā-makāñ meñ mā-sivā koī nahīñ
hai shikayat tujh se lekin muddaa koi nahin
ghaaliban mujh ko yaqin hai faeda koi nahin
ek KHalij-e-zat ke us par hai sara jahan
main jahan par hun wahan par dusra koi nahin
dasht-e-hast-o-bud mein buniyaad sab ki ret hai
girti diwaron mein chhat ka aasra koi nahin
main ne ye jaana haqiqi-o-majazi ek hai
gar makan-o-la-makan mein ma-siwa koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.