hai shor sahilon par sailab aa raha hai
hai shor sāhiloñ par sailāb aa rahā hai
āñkhoñ ko ġharq karne phir ḳhvāb aa rahā hai
bas ek jism de kar ruḳhsat kiyā thā us ne
aur ye kahā thā baaqī asbāb aa rahā hai
ḳhāk-e-visāl kyā kyā sūrat badal rahī hai
sūraj guzar chukā hai mahtāb aa rahā hai
paanī ke aa.ine meñ kyā aañkh paḌ ga.ī hai
dariyā meñ kaisā kaisā girdāb aa rahā hai
āñkhoñ kī pyāliyoñ meñ bārish machī huī hai
sahrā meñ koī manzar shādāb aa rahā hai
hai shor sahilon par sailab aa raha hai
aankhon ko gharq karne phir KHwab aa raha hai
bas ek jism de kar ruKHsat kiya tha us ne
aur ye kaha tha baqi asbab aa raha hai
KHak-e-visal kya kya surat badal rahi hai
suraj guzar chuka hai mahtab aa raha hai
pani ke aaine mein kya aankh paD gai hai
dariya mein kaisa kaisa girdab aa raha hai
aankhon ki pyaliyon mein barish machi hui hai
sahra mein koi manzar shadab aa raha hai
- Book : mai.n ronaa chaahtaa huu.n (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.