hai soz-e-ġham ko garmī-e-bāzār kī talāsh
is jins ko hai apne ḳharīdār kī talāsh
kāfir kī justujū hai na dīñ-dār kī talāsh
hai ek jazb-e-ġham ke parastār kī talāsh
āvārgī-e-chashm-e-tajassus 'abas nahīñ
kartī hai apne markaz-e-dīdār kī talāsh
juuyā gunāhgār hai lutf-e-karīm kā
lutf-e-karīm ko hai gunahgār kī talāsh
kyā jaane shāḳh shāḳh ne kyā gul khilā.e haiñ
hai āshiyāñ ko barq-e-sharar-bār kī talāsh
vārafta-e-junūn kā hai mudda'ā kuchh aur
sahrā kī justujū hai na gulzār kī talāsh
pursāñ koī bhī aaj 'munavvar' mirā nahīñ
mujh ġham-zada ko hai kisī ġham-ḳhvār kī talāsh
hai soz-e-gham ko garmi-e-bazar ki talash
is jins ko hai apne KHaridar ki talash
kafir ki justuju hai na din-dar ki talash
hai ek jazb-e-gham ke parastar ki talash
aawargi-e-chashm-e-tajassus 'abas nahin
karti hai apne markaz-e-didar ki talash
juya gunahgar hai lutf-e-karim ka
lutf-e-karim ko hai gunahgar ki talash
kya jaane shaKH shaKH ne kya gul khilae hain
hai aashiyan ko barq-e-sharar-bar ki talash
warafta-e-junun ka hai mudda'a kuchh aur
sahra ki justuju hai na gulzar ki talash
pursan koi bhi aaj 'munawwar' mera nahin
mujh gham-zada ko hai kisi gham-KHwar ki talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.