hai sukun-e-dil tumhaare nam se
hai sukūn-e-dil tumhāre naam se
vāsta kyā ham ko ab ālām se
un ke va.ade ne kiyā hai kyā sitam
dard-e-dil paidā huā hai shaam se
uTh ga.ī hai kyā zamāne se vafā
haiñ vo sharminda vafā ke naam se
chashm-e-sāqī se nashāt-e-dahr hai
gardisheñ aatī haiñ daur-e-jām se
ye hai me.arāj-e-mohabbat ai 'razā'
dil laraz uThtā hai un ke naam se
hai sukun-e-dil tumhaare nam se
wasta kya hum ko ab aalam se
un ke wade ne kiya hai kya sitam
dard-e-dil paida hua hai sham se
uTh gai hai kya zamane se wafa
hain wo sharminda wafa ke nam se
chashm-e-saqi se nashat-e-dahr hai
gardishen aati hain daur-e-jam se
ye hai mearaj-e-mohabbat ai 'raza'
dil laraz uThta hai un ke nam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.