hai sulagti dhup ta-hadd-e-nazar
hai sulagtī dhuup tā-hadd-e-nazar
laa.e the ham ek sūraj maañg kar
aaj huuñ hairān ḳhud ko dekh kar
duur tak vīrāñ shikasta bām-o-dar
shart hai tāmīr-e-nau kī avvalīñ
duur rakhnā qaid se qalb-o-nazar
imtihān-e-ishq meñ koī nahīñ
dil sā kāmil aur sābit rāhbar
DhūñDne jaa.eñ kahāñ 'aḳhtar' panāh
apnā ghar bhī ab nahīñ hai mo'atabar
hai sulagti dhup ta-hadd-e-nazar
lae the hum ek suraj mang kar
aaj hun hairan KHud ko dekh kar
dur tak viran shikasta baam-o-dar
shart hai tamir-e-nau ki awwalin
dur rakhna qaid se qalb-o-nazar
imtihan-e-ishq mein koi nahin
dil sa kaamil aur sabit rahbar
DhunDne jaen kahan 'aKHtar' panah
apna ghar bhi ab nahin hai mo'atabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.