hai suni suni har ek rahguzar aaKHir-e-shab
hai suunī suunī har ik rahguzār āḳhir-e-shab
koī kisī kā nahīñ ġham-gusār āḳhir-e-shab
sajī huī jo sitāroñ kī anjuman dekhī
vo yaad aa.e haiñ be-iḳhtiyār āḳhir-e-shab
hai merī hamdam-o-dam-sāz merī tanhā.ī
nafas nafas hai mirā rāzdār āḳhir-e-shab
na jaane baiThā huuñ kab se junūñ ke 'ālam meñ
mujhe kisī kā nahīñ intizār āḳhir-e-shab
chalī hai daf'atan ehsās kī vo purvā.ī
har ek lamha huā dil pe baar āḳhir-e-shab
mire sivā yahāñ koī nahīñ magar phir bhī
bhaTak rahā huuñ maiñ dīvāna-vār āḳhir-e-shab
bisāt-e-zehn pe kis kis ke naam ubhar aa.e
maiñ kar rahā thā ġhamoñ kā shumār āḳhir-e-shab
fazā meñ chhā.ī hai 'ahmad' 'ajab sī betābi
sabā hai kis ke liye be-qarār āḳhir-e-shab
hai suni suni har ek rahguzar aaKHir-e-shab
koi kisi ka nahin gham-gusar aaKHir-e-shab
saji hui jo sitaron ki anjuman dekhi
wo yaad aae hain be-iKHtiyar aaKHir-e-shab
hai meri hamdam-o-dam-saz meri tanhai
nafas nafas hai mera raazdar aaKHir-e-shab
na jaane baiTha hun kab se junun ke 'alam mein
mujhe kisi ka nahin intizar aaKHir-e-shab
chali hai daf'atan ehsas ki wo purwai
har ek lamha hua dil pe bar aaKHir-e-shab
mere siwa yahan koi nahin magar phir bhi
bhaTak raha hun main diwana-war aaKHir-e-shab
bisat-e-zehn pe kis kis ke nam ubhar aae
main kar raha tha ghamon ka shumar aaKHir-e-shab
faza mein chhai hai 'ahmad' 'ajab si betabi
saba hai kis ke liye be-qarar aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.