hai tamanna ye meri koi tamanna na rahe
hai tamanna ye mirī koī tamanna na rahe
saañs to chaltī rahe aañkh meñ qatra na rahe
merī ḳhvāhish hai ki imdād mile sab ko yahāñ
ik du'ā aisī karūñ koī bhī andhā na rahe
bārhā dekh magar saath meñ āñkheñ bhī jhapak
baat bhī kar ki tujhe baa'd meñ shikva na rahe
dostī aisī ho tā-'umr tujhe yaad rakheñ
aur gar 'ishq ho to koī bhī pardā na rahe
dil agar TuuTe to phir donoñ kā aisā TuuTe
maiñ kisī kā na rahūñ tū bhī kisī kā na rahe
hai tamanna ye meri koi tamanna na rahe
sans to chalti rahe aankh mein qatra na rahe
meri KHwahish hai ki imdad mile sab ko yahan
ek du'a aisi karun koi bhi andha na rahe
barha dekh magar sath mein aankhen bhi jhapak
baat bhi kar ki tujhe ba'd mein shikwa na rahe
dosti aisi ho ta-'umr tujhe yaad rakhen
aur gar 'ishq ho to koi bhi parda na rahe
dil agar TuTe to phir donon ka aisa TuTe
main kisi ka na rahun tu bhi kisi ka na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.