hai tamanna-e-sair-e-bagh kise
hai tamannā-e-sair-e-bāġh kise
gul se sāzish kare dimāġh kise
kis kā aalam kahāñ ke baaġh o bahār
apne aalam se hai farāġh kise
us ke āvārgāñ ko DhūñDe hai ḳhalq
un kā miltā hai yaañ surāġh kise
itnā be-sudh nahīñ maiñ ai saaqī
ḳhālī detā hai tū ayāġh kise
tujh bin ai vahshat-e-junūn-e-bahār
ḳhush lage hai ye baaġh o raaġh kise
laala dekh us kī chhab ko kahtā thā
daaġh par de gayā hai daaġh kise
go añdherī hai 'mus.hafī' shab-e-hijr
par huī ḳhvāhish-e-charāġh kise
hai tamanna-e-sair-e-bagh kise
gul se sazish kare dimagh kise
kis ka aalam kahan ke bagh o bahaar
apne aalam se hai faragh kise
us ke aawargan ko DhunDe hai KHalq
un ka milta hai yan suragh kise
itna be-sudh nahin main ai saqi
KHali deta hai tu ayagh kise
tujh bin ai wahshat-e-junun-e-bahaar
KHush lage hai ye bagh o ragh kise
lala dekh us ki chhab ko kahta tha
dagh par de gaya hai dagh kise
go andheri hai 'mushafi' shab-e-hijr
par hui KHwahish-e-charagh kise
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 242)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.