hai tamanna koi na koi aas
hai tamannā koī na koī aas
zindagī hai bahut udaas udaas
kyoñ na ġham ko gale lagā.ūñ maiñ
kis ko aa.ī hai shādmānī raas
manziloñ ke qarīb-tar hai vo
ishq meñ kho chukā jo hosh-o-havās
kyā karūñ aise dostoñ ko maiñ
dost-dārī kī jin meñ bū hai na baas
ḳhair ho zabt-e-ishq kī yārab
ik chubhan sī hai aaj dil ke paas
merī dīvāngī hī kaam aa.ī
aaj pahnā hai zindagī ne libās
ai 'kañval' maut se bhī bad-tar hai
ziist jo ho ba-qaid-e-ḳhauf-o-hirās
hai tamanna koi na koi aas
zindagi hai bahut udas udas
kyon na gham ko gale lagaun main
kis ko aai hai shadmani ras
manzilon ke qarib-tar hai wo
ishq mein kho chuka jo hosh-o-hawas
kya karun aise doston ko main
dost-dari ki jin mein bu hai na bas
KHair ho zabt-e-ishq ki yarab
ek chubhan si hai aaj dil ke pas
meri diwangi hi kaam aai
aaj pahna hai zindagi ne libas
ai 'kanwal' maut se bhi bad-tar hai
zist jo ho ba-qaid-e-KHauf-o-hiras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.