hai tanhai mein bahna aansuon ka
hai tanhā.ī meñ bahnā āñsuoñ kā
sabab chehroñ kī in shādābiyoñ kā
ba-zāhir maiñ bhī ḳhush aur tū bhī masrūr
magar dekhe koī aalam diloñ kā
vafā parchhā.īñ kī andhī parastish
mohabbat naam hai mahrūmiyoñ kā
hai apnī zindagī jitnā purānā
ta.alluq aañkh se vīrāniyoñ kā
har ik chehre pe hai tahrīr ġham kī
zarūrī to nahīñ khulnā laboñ kā
ye maiñ huuñ yā koī ma.asūm bachcha
ta.āqub kar rahā hai titliyoñ kā
'kamāl' ab ḳhud bhaTaktā phir rahā hai
tamannā.ī thā uḌtī ḳhushbuoñ kā
hai tanhai mein bahna aansuon ka
sabab chehron ki in shadabiyon ka
ba-zahir main bhi KHush aur tu bhi masrur
magar dekhe koi aalam dilon ka
wafa parchhain ki andhi parastish
mohabbat nam hai mahrumiyon ka
hai apni zindagi jitna purana
talluq aankh se viraniyon ka
har ek chehre pe hai tahrir gham ki
zaruri to nahin khulna labon ka
ye main hun ya koi masum bachcha
taaqub kar raha hai titliyon ka
'kamal' ab KHud bhaTakta phir raha hai
tamannai tha uDti KHushbuon ka
- Book : khizaa.n mera mausam (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.