hai taqaza-e-junun silsila-war mile
hai taqāzā-e-junūñ silsila-vār mile
ġham kī zanjīr mile dard kī jhankār mile
tesha-e-nūr liye sub.h kā paiġhām liye
koī bedār mile koī to hoshyār mile
dasht-e-vahshat kī qasam ābla-pā.ī kī qasam
raah meñ jab na koī sāya-e-dīvār mile
ham-safar ham ne jahāñ naqsh-e-tamannā paayā
ham rah-e-zīst ke is moḌ pe bekār mile
un ke chehroñ pe the iḳhlās-o-mohabbat ke nuqūsh
dil meñ jhāñkā to mire yaar hī aġhyār mile
hai taqaza-e-junun silsila-war mile
gham ki zanjir mile dard ki jhankar mile
tesha-e-nur liye subh ka paigham liye
koi bedar mile koi to hoshyar mile
dasht-e-wahshat ki qasam aabla-pai ki qasam
rah mein jab na koi saya-e-diwar mile
ham-safar hum ne jahan naqsh-e-tamanna paya
hum rah-e-zist ke is moD pe bekar mile
un ke chehron pe the iKHlas-o-mohabbat ke nuqush
dil mein jhanka to mere yar hi aghyar mile
- Nama-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.