hai tariqa koi KHwab-e-wasl ki tabir ka
hai tarīqa koī ḳhvāb-e-vasl kī ta.abīr kā
mere us ke darmiyāñ parda hai ik tasvīr kā
zikr terā tark karnā hai mire ġham kī davā
muntazir huuñ is mujarrab nusḳhe kī tāsīr kā
yaad meñ terī taḌap kar hāl-e-dil karnā raqam
murtakib hotā huuñ maiñ har shab isī taqsīr kā
zaḳhm-e-dil ko Dhāñkne kā ik vasīla thā suḳhan
phir vo hiila ban gayā is zaḳhm kī tash.hīr kā
haañ vahī sarkash mujhe ik jā nazar aaya thā kal
sar jhukā kar sun rahā thā faisla taqdīr kā
kartā huuñ īzā-e-tanhā.ī kī tadbīreñ bahut
kāv-kāve imtihāñ letī hai har tadbīr kā
āgahī ne chup kiyā aisā ki shahr-e-shor meñ
na.ara-e-haq rah gayā hissa merī jāgīr kā
hai tariqa koi KHwab-e-wasl ki tabir ka
mere us ke darmiyan parda hai ek taswir ka
zikr tera tark karna hai mere gham ki dawa
muntazir hun is mujarrab nusKHe ki tasir ka
yaad mein teri taDap kar haal-e-dil karna raqam
murtakib hota hun main har shab isi taqsir ka
zaKHm-e-dil ko Dhankne ka ek wasila tha suKHan
phir wo hila ban gaya is zaKHm ki tashhir ka
han wahi sarkash mujhe ek ja nazar aaya tha kal
sar jhuka kar sun raha tha faisla taqdir ka
karta hun iza-e-tanhai ki tadbiren bahut
kaw-kawe imtihan leti hai har tadbir ka
aagahi ne chup kiya aisa ki shahr-e-shor mein
nara-e-haq rah gaya hissa meri jagir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.