hai tarjuman alam aur adib hai sardi
hai tarjumān alam aur adiib hai sardī
tabhī to nok-e-qalam se qarīb hai sardī
dimāġh arsh pe hai kāñptā zamīn pe hai
ai bande dars le umda ḳhatīb hai sardī
maiñ shaal oḌh ke jo baam par Tahaltī huuñ
payām-e-dost kī shāyad naqīb hai sardī
laraztī kāñptī maiñ ḳhud se kahtī rahtī huuñ
maiñ milne jā.ūñ to kaise raqīb hai sardī
havā bhī sard hai patjhaḌ bhī hai daraḳhtoñ par
firāq-o-hijr meñ lipTī ajiib hai sardī
basī huī hai fazā meñ vo farhat-añgezī
sulagte zaḳhmoñ kī behtar tabīb hai sardī
'sabīla' mausam-e-sarmā bhī ek ne.amat hai
vo ḳhush-nasīb haiñ jin ko nasīb hai sardī
hai tarjuman alam aur adib hai sardi
tabhi to nok-e-qalam se qarib hai sardi
dimagh arsh pe hai kanpta zamin pe hai
ai bande dars le umda KHatib hai sardi
main shaal oDh ke jo baam par Tahalti hun
payam-e-dost ki shayad naqib hai sardi
larazti kanpti main KHud se kahti rahti hun
main milne jaun to kaise raqib hai sardi
hawa bhi sard hai patjhaD bhi hai daraKHton par
firaq-o-hijr mein lipTi ajib hai sardi
basi hui hai faza mein wo farhat-angezi
sulagte zaKHmon ki behtar tabib hai sardi
'sabila' mausam-e-sarma bhi ek neamat hai
wo KHush-nasib hain jin ko nasib hai sardi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.