hai teri hi kaenat ji mein
hai terī hī kā.enāt jī meñ
jī tujh se hai terī zaat jī meñ
tū ne kiyā qatl go ba-zillat
samjhā maiñ ise najāt jī meñ
kyuuñ ġham ye mujhī pe mehrbāñ hai
sab shaad haiñ zī-hayāt jī meñ
is tañg-dahān ke suḳhan par
yaañ guzre haiñ so nikāt jī meñ
har-dam ba-hazār jalva-e-nau
dekhūñ huuñ tirī sifāt jī meñ
dam āñkhoñ meñ aa rahā hai 'jur.at'
guzre hai ye aaj raat jī meñ
aa jaave to hāl-e-dil sunā leñ
rah jaa.e na jī kī baat jī meñ
hai teri hi kaenat ji mein
ji tujh se hai teri zat ji mein
tu ne kiya qatl go ba-zillat
samjha main ise najat ji mein
kyun gham ye mujhi pe mehrban hai
sab shad hain zi-hayat ji mein
is tang-dahan ke suKHan par
yan guzre hain so nikat ji mein
har-dam ba-hazar jalwa-e-nau
dekhun hun teri sifat ji mein
dam aankhon mein aa raha hai 'jurat'
guzre hai ye aaj raat ji mein
aa jawe to haal-e-dil suna len
rah jae na ji ki baat ji mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.